Jab gyaan ki baatein hon or us mahaan hasti ka zikra na ho toh kitaabon ki kahaaniyon mein soonapan aa jaataa hai. Sadiyon se ham yeh jaante aaye hain ki gyaan he hume vijay banane mein bohot mehetvapoorna yogdaan deta aayaa hai. Gyaan k bina hum sirf ek saans leti kaayaa hain.Toh hum jis mahaan or itihaas k ek villabh hasti ka zikra kar rahein hain unka naam hai "TENALI RAMAKRISHNA", jinhe "VIKATAKAVI" k naam se bhi jana jata hai.Inki Jeewan gaathaa badi he dilchusp hai,ve sabse alag the jiske kaaran unka naam itehaas mein swarnaksharon mein darj kiya gaya hai.
Unka naam kaviyon or rachnakaaron mein bohot he mash-hoor raha hai. Bharat ki paawan bhoomi, Guntur Zile par is sitaare ka janam solawi sadi k madhya mein ek Telugu Niyogi Brahmin Pariwaar mein hua tha.Kayi lok-kathaon mein inka zikra milt hai. Unke ramlingeshwar swami mandir mein purohit the,unka nidhan tenali k baalyakaal mein he ho gaya tha ji kaaranwash unhe apne bhraataa k saath rehna padha.
Un sabhi paristhitiyon k kaaran unhe koi aupchaarik shiksha praapt nahi hui thi, magar in sabke pashchyaat unki gyaan ki bhook ne unhe mahaan banne ka raastaa dikhaayaa.Unki ginti Samrat Krishnadev Rai k darbaar k ashtadiggajon mein ki jaane lai thi. Maanaa ki baatein or vichaar itehaas k panno k hain magar ye itehaas ka woh bhaag hai jo bohot kuch sikhaane ka bal rakhti hai.Kaha jaataa hai ki ve moolya roop se shev the jis kaaran unka naam pehle RAMLINGA tha parantu baadmein unhone vaishnav dharm apna liya jiske pashchyaat unhe RAMKRISHNA naam se jaane jaanaa laga.
Tenali ramkrishna ka zikra koi ek panne or do panno ka nahi hai unki jeewan gaathaa itni anokhi or dilchusp hai ki kitaaabein bhi kam pad jaati hain. Jese ki unki likhi hui kayi kahaaniyaan or kathaayein hain.Unme se ek udaaharan hai "Arabi ghode":Ek din Raja Krishnadev Rai k Darbaar mein ek arab pradesh se ghoda vyapari aaya tha, vaha apne ghodon ka bakhaan karke raja ko raazi kar leta or ghode bech jaataa tha.
Ab ek divas unhe pata chalta hai ki ghode bohot jayada ho gye hain jis kaaran ve nagar k logon mein unhe baant dete hain or teen mahino k liye dekhbhaal karne ka aadesh dete hain. Har mahine ghode k paalanposhan k liye dekhbhaal karne wale ko sone ka sikka diya jaata tha.Un naagrikon mein tenali bhi tha,ghode ki achi dekhbhaal k liye log apna pet kaat kaat kar unki dekhbhaal mein lag gaye.Teen mahine beetne k baad sab chuninda logon ko ghodon k saath raaj darbaar mein bulaayaa jaataa hai magar tenali bina ghode k pohonchte hain.
Raja k poochne par unka jawaab hota hai ki,"ghoda kaafi gunsail or bigad gaya hai , mein bhi uske sammeep nahi jaanaa chahta".iske upr rajguru unhe jhoota kehte hain or raajaa k aadeshanusaar ghode ko dekhne tenali k ghar jaate hain.Jese he ghode ki taraf rajguru badhte hain toh unki daadi ghoda pakad leta hai. bheed lag jaati hai.
Us sabke pashcyaat pata chalta hai ki ghode ki haalat bohot sookh gayi hai.Raja k poochne k baad tenali ne uttar diya:"Raja ka kartawya hota hai nagrikon ki dekhbhaal karna naaki un par bhojha daalna.ghodon ki dekhbhaal karte hue aapki prajaa he durbal ho gyi hai.".maharaj ki aankhein khul jaati hain or ve unhe puruskaar se sammanit karte hain.
Watch Tenali Rama Serail Latest Episode In HD Quality Video.
No comments:
Post a Comment